Monday, 23 January 2017

Mod par kavita

Soch raha hu… 
Pichle saal me kya khoya.. 
Kya paaya… 
 
Kho diya tumhe… 
Aur paaya yaadon ko tumhari.. 
 
Is saal jo agar tum… 
Aana chaho.. Mere paas… 
Maine har mod par… 
Apni kavita saja raka hai.. 
 
Jab bhi mann kare… 
Kisi bhi kavita me… 
Lipat kar aa jaana….

No comments:

Post a Comment