Thursday, 15 September 2016

Praayschit


….Dheere se ek aankh kholkar mobile dekhta hu, raat ke 2:30 baj chuke hai aur neend aankh se sadiyo door hai.Aaj achanak mann me toofan chal raha hai. Kayi yaade daud rahi hai.Samajh nahi aa raha ek shakhs aaj muje itna kyu yaad aa raha hai, jabki use gaye aaj 1000 din se jyada ho gaye. Kyu aaj mera dam usi dhuye me ghut raha hai jise maine kabhi bujhaya tha.. Haan who main hi toh tha jo us se bhaaga tha. Aur jab aaj bhaagte bhaagte ruka hu toh yaad aata hai who shakhs.. yaad aata hai ek ek pal… yakeen nahi hota koi aisa bhi kar sakta hai.. Uth kat light on karta hu, Lag raha hai aaj neend nahi aayegi.. laptop khol kar uske puraane sms padta hu jo maine save kiye the.. har baar last message usi ka… aaj kuchh gaane sun ne ka bada mann kar raha hai aur who sab likh dene ka jo kabhi kisi se nahi kaha……

Tum se hi… Tum se hi….

Zindagi me kayi ladkiyo se mila, lekin sirf woh hi aisi ladki thi jisne mujhe kabhi badalana nahi chaha. She loved complete me not parts of me. Usne kabhi mujhse hair style badalne ka nahi kaha.. kabhi nahi kaha ki meri kavita acchi nahi… kabhi nahi kaha ki please gaana band kar! Nahi ab lagta hai ki pyaar kya hai.. aur kitna kathin hai aisa pyaar paana… kitna mushkil hai aisa pyaar karna aur kitna jyada mushkil hai aisa pyaar de kar bhi pyaar naa paana…

Ekk parwaaj dikhaayi di hai..
teri aawaz sunaayi di hai..
Jiski aankhon me kati thi sadiyaan..
Usi ne umra bhar ki judaayidi hai...

Continued....

No comments:

Post a Comment